Skip to main content
Happy Makar Sankranti 2018
Bikhre hawa mai aaj kitne rang h ..
Udti chali ja rahi patang h ...
Are udti chali ja rahi patang h...
Kahti hui kuch hawa se ...
Bahti hui is hawa mai..
Aasmaan bhi aaj ye surang h ...
Udti chali ja rahi patang h ...
Are Udti chali ja rahi patang h ...
Sard ki hawaon main ..
Simati hui bhor h ...
Rukh main hawaon ke ...
Chal rahi ye dor h....
Bajne lage dhol aur chang hn.
Udti chali ja rahi patang h ...
Are Udti chali ja rahi patang h ..
Kitne mehmaan h aaj ..
Gagan ke galiyare main...
Mahfil h patangon ki ...
Aasman ke pitaare main...
Ho rahi h guftagu....
Patangbaazi ke baare main..
Ho rahi h guftagu...
patangbaazi ke baare main...
Patangbaazi ke baare main...
Sur naye se h aaj ...
aur dhun bhi sang h....
Udti chali ja rahi patang h...
Are Udti chali ja rahi patang h...
Kuch alag h ye mausam ...
Aur nayi si aas h ...
Ye dooriyan ab nahi ...
har rang pass pass h ...
Nayi si aaj ye lahar h ...
Na koi shaam na koi sahar h ...
Aaj chaanw bhi dhup k sang h ...
Uditi chali ja rahi patang h..
Are Udti chali ja rahi patang h...
Bikhre hawa main aaj kitne rang h...
Udti chali ja rahi patang h ...
Udti chali ja rahi patang h ....
Udti chali ja rahi patang h....
Udti chali ja rahi patang h....
HAPPY MAKAR SANKRANTI 2018.
Visit the shop section and explore the hand picked product.
Want to publish your poetry. Go for it now.
Read the importance of makar sankranti and explore why it is celebrated. Read at wikipedia.

Popular posts from this blog
Valuable information. Lucky me I found your web site by accident, and I am shocked why this accident didn't happened earlier! I bookmarked it.
ReplyDelete