Dhalte chand ka ho pahra...

Hindi poetry: Dhalte chand ka ho pahra...

Hindi poetry: Dhalte chand ka ho pahra...


Raat bhar ka nikla raahi...

Nikalte savere par ho thahra...

Soyi sahar ki badhti khalish mein..

Dhalte chand ka ho pahra...

Soyi sahar ki badhti khalish mein ..

dhalte chand ka ho pahra...

Thandi si hawaon mein..

Lipti rahe subha ki aus...

Chai rahe chanda par...

Chandni! hokar madhosh..

Chand taron ko chupane...

Aata h jaise waqt sunhara..

Soyi sahar ki badhti khalish mein..

Dhalte chand ka ho pahra...

Ek Shuruaat se 'aaj' bankar..

Dhalta h 'kal' raat bankar..

Khawab nazron mein rah jata h..

Dhundhla sa jawab bankar..

Parinda firta h gagan mein...

Koi meetha swar lekar..

Surmayi si dhun koi..

Bikharti h sahar lekar..

Parindon ke is raag mein..

Zara sa waqt ho jaise thahra..

Soyi sahar ki badhti khalish mein...

Dhalte chand ka ho pahra...

Soyi sahar ki badhti khalish mein..

Dhalte chand ka ho pahra...

Visit the shop section and explore the hand picked product. 


Want to publish your poetry. Go for it now. 


Find more wallpapers like this on pixabay


 

Comments